Dosti Ya Pyar Part 1

Kahate hain jindagi imtihan leti hain, wo tab sabse bda imitihan leti hain jab apko kisis se pyar ho jata hain. Aesa kuch chhupa hain is kahani me jha dukh to hain magar khushiya bhi hain paraye hain to apne bhi hain.

Main jyada kya kaho is kahani ke baar log khud padh ke samajh jayege, Komal mere kahani ki nayika kya kahu usake bare me khubsurati ka misal, usaki sondrya ka vardan aage karuga aayi kahani ki shuruaate katre. Nayak ke ghar se.

Rao Family


"srimati ji ab to breakfast kar do office ke liye late ho rha hoon" ye awaj thi dining table me baith hoon Mr. Subhash Rao nashte ka wait karte hoon wo aage bole "Vikash kha hain, nashte ke liye nhi aaya . Nawabjade abhi so rhe hain kya?"

"App to mere bachche ke piche pade rahte hain, Uska college ka pahla din hain wo subah-subah hi college ke liye nikal gaya" Ye thi Vikash ki maa Suman Rao Subhash rao ki Nashta deti hui boli

"Achcha uski chhutiya itani jaldi khatm ho gayi, Vaise chalo college ka last year usake baad sahab business me hamari madad karege" Nashta karte huye subash rao ne kha

"Main aaj hi kah deti hoon mera beta itani jaldi office nhi join karega, uska aur padhane ka man. Hamne bahut kuch kiya hain jindi me aaj ka dine dekhane ke liye aur jindagi khusiya ji nhi paye wo khushiya aur sapne hamare bachche jiyege" Ankho ka pani saf karte hui suman ne kha ki tabhi aawaj aayi

"kya Papa aapne subah subah Maa ko rula diya. Aesa kyo karte hain? Apko pta hain na maa mujhe aur bhai ko lekar kya sochati hain? Fir usi hamari jindagi tay karne dijiye" Ye hai Priya Vikash ke bahan nashte table me baite hui boli

"Thik hain jaisa tum maa beti kahon, jab ghar ki home ministry usake support me hain main kha kuch kah sakta hoo" hasate hui Subhash ne kha aur bag utha ke office ke liye nikal gaye.

"Kya maa subah subah rone lagti apko pta hain Papa bhaiya se kitna pyar karte hain wo to bus apko chhed rahe the aur aap rone lagi. Bhaiya ko pta chalega to use kitna dukh hoga" Priya apni maa ko chup karate huye boli.

"Nhi beta baat ye nhi hain ki Main tumhare papa ki baat nhi samajhati. Vikash bhi padhane ke baad office join karke apne Papa ko aram dena chahata hain lekin mujhe pta hain wo office join karne se pahle apna pyara khojane jayega jiske liye use kuch time chahiye. Ye baat to tumhare paap se nhi kahin ja sakti bahana padhai ka hi hoga." Suman ne puri baat Priya ki batayi

"Ha Maa mujhe pta hain Bhai apne Bachapan ke pyar ko khajane jayegi, par wo kha milegi Uncle ka transfer ho gaya tha us kand ke baad aur hame to Nainu ka real name bhi nhi pta. Tab wo 12 sal ki thi ab uski age 25 hogi, wo agar mil bhi gayi to bhaiya pahchanega kais? Pta nhi bhaiya use yaad bhi hoge ki nhi Us bhidh me usane pta nhi bhaiya ki baat suni bhi hogi ki nhi?"

"Ram Jane! beta magar mujhe ye pta hain agar Vikash ko wo na mili to Vikash kabhi kisi aur se shadi nhi karega. Bhagwan hi jane mere bete kie kismat me kya likha hain" Ye kahate huye Suman rasoyi ghar me chali gayi

Aur Priya Doob Us ateet ki Yaado jab Jab Nainu ye shahar chhod ke apne maa baap ke sath dusare shahar chali gayi

Comments

Popular posts from this blog

दोस्ती या प्यार 11

Fir Tum Yaad Aaye

Dosti Ya Pyar Part 2