Posts

Showing posts from May, 2017

Dosti Ya Pyar Post 5

Abhi Tak Nainu aur Vikash ke ghar walo ko bhi pta chal chuka tha aur dono ki family bhi pahuch chuki thi hospital. Lekin dono do alag hospital me the. Vikash aur Nainu sono papa kisi kaam se ghar aaye the aur hospital ke liye nikalate waqkt dono amane samane pad gaye. Subhash ko dekh kar Sanjay bhadak utha... Sanjay: "Agar meri beti ko kuch ho gaya na to main tumhare bete ko ko choduga, ptanhi kya kiya hain usane meri bachchi ke sath. Meri Nainu ki halat dekh kar lagta tere bete ne kuch ulta kiya hoga. Tum chhote log aesi vaisi harkate karte ho." Vikash ke papa ke chhoti si company me sales executive the aur unhone apni kamai se ab tak sirf ye ghar banaya tha. Unhe sachai ka jyada pta nhi tha aur Nainu ki halat bhi ye kah rhi thi galati Vikash ki hain kyoki jab un logo ne dekha tha tab Vikash ne Nainu ka hath piche se pakad rakha tha wo ro rhi thi aue usake kapade bhi fate huye. Apne vinamrata ko banaye rakhate hoon Vikash ke papa ne Nainu ke Papa se kha.. Subahs: ...

Dosti Ya Pyar Part 4

Aai Naninu balcony me aayi to usake aankho me ek alag si chamak thi kyoki usi ab pta tha aag dono taraf lagi hain. Vikash aur Nainu dur se hi ek dusare ke aankho me kho gaye the. Nainu ke park se nikalate hi Priya bhi wapas aa gayi thi aur in do premiyo ko dekh rhi thi kaise ye ek dusare me khoye pade hain. Priya in dono ke dekh ajib khushi mil rhi thi usi samajh me nhi aa rha tha ye khushi bhai ko usaki pasand ki ladki milane ki thi ya Nainu jo usaki ab achchi dost ban gayi thi usko bhai jaisa nek dil ladka mil gaya iski khushi, In dono ko dekh wo bhagawan se dua mang rhi thi ki wo dono ek ho jaye. abhi ye ankh michouli shuru 15 minut bitate the tabhi Priya ki nazar Nainu ki maa padi wo samajh gayi wo NAinu se milane ja rhi hain ye samajhte hi wo vikash ko awaj dekar boli "Kya bhaiya bhabhi ke milate aap to apni bahan ko bhool gaye hain." Priya ki awaj sunaye hi Vikash chouk gaya aur Priya se jhepate hui bola "Nhi pagal mere life me koi aa jaye magar jo jagah Meri ...

Dosti Ya Pyar Part 3

Priya ki baat sunke Vikash chouk pda. Isko us ladki ke baare me itna kaise pta hain? Jab Vikash se rha na gaya to wo pooch baitha. Vikash: "Tujhe us ladki bare itna kuch kaise pta hain? Priya: "Bus aesi hi bhai pta bhai aur mujhe to ye bhi pta hain wo ladki apko pasand karti hain isliye jab aap 6 baje balcony me aate hain wo bhi aa jati hain." Vikash, Priya ki ye baat sun ke khush to hua magar turan wo ye bhi samajh gaya ki Priya ko pta hain ki wo balcony me kyo aata hain aur ye samajhate wo Priya se nazarein churane lagta hain. Vikash aese nazarein churate dekh Priya samajh jati hain ki bhai ko sharm aa rhi hain tab wo bol padti hain. Priya: "Kya bhai? Aap mujhse sharma rhe ho main to us din samaajh gayi thi apke dil me kuch ho gaya jis din maine pahli baar apko Nainu ko ghurate dekha tha. Isliye to maine Nainu se dosti taki apne bhai ke dil ke dard ka ilaj kar saku magar wo jyada bolti nhi hain isliye jitna pta lag saka hain wo main apko bta diya. Aag don...

Dosti Ya Pyar Part 2

Story in Flashback Priya Ateet ke yaado me wha pahuch gayi jab samane wale ghar me Mr. Sanjay and Mrs. Savita Sharma family ka saman shift ho rha tha. Abhi Sharma Family nhi aayi thi. Vikash aur Priya school se lout kar balcony me baatein kar rhe the sham ke koi 5 baj rhe hoge tabhi unki nazar samane wale makan pe rukan wali car pe padi. Car se Sharma Family utar rhi thi tabhi Vikash ki nazar car se utarane wali ladki pe jakar atak, Vikash ko lga jaise Rati Devi khud aakar wha khadi ho gayi hain uski nazar us ladki pe hat hi nhi rahi thi aur kaise hatati. Nainu thi hi itani khubsurat Ekhara badan, Badi Badi kali aankhe, Gora Rang, Gulab ki Pankhudiyo ki tarah gulabi hoth aesa lag rha tha jaise usame se abhi ras tapak padega. Surahidar Gardan aur uspar kamar tak laharati kali nagin jaisi choti, Vikash to kho sa gaya tha Nainu ki khubsurati me use to pta nhi chala kab Nainu apne ghar ke ander chali gayi. Uska dhyan to tab tuta jab Priya ne Awaj di "kha kho gaye bhai"...

Dosti Ya Pyar Part 1

Kahate hain jindagi imtihan leti hain, wo tab sabse bda imitihan leti hain jab apko kisis se pyar ho jata hain. Aesa kuch chhupa hain is kahani me jha dukh to hain magar khushiya bhi hain paraye hain to apne bhi hain. Main jyada kya kaho is kahani ke baar log khud padh ke samajh jayege, Komal mere kahani ki nayika kya kahu usake bare me khubsurati ka misal, usaki sondrya ka vardan aage karuga aayi kahani ki shuruaate katre. Nayak ke ghar se. Rao Family "srimati ji ab to breakfast kar do office ke liye late ho rha hoon" ye awaj thi dining table me baith hoon Mr. Subhash Rao nashte ka wait karte hoon wo aage bole "Vikash kha hain, nashte ke liye nhi aaya . Nawabjade abhi so rhe hain kya?" "App to mere bachche ke piche pade rahte hain, Uska college ka pahla din hain wo subah-subah hi college ke liye nikal gaya" Ye thi Vikash ki maa Suman Rao Subhash rao ki Nashta deti hui boli "Achcha uski chhutiya itani jaldi khatm ho gayi, Vaise chalo coll...