Dosti Ya Pyar Part 3

Priya ki baat sunke Vikash chouk pda. Isko us ladki ke baare me itna kaise pta hain? Jab Vikash se rha na gaya to wo pooch baitha.

Vikash: "Tujhe us ladki bare itna kuch kaise pta hain?

Priya: "Bus aesi hi bhai pta bhai aur mujhe to ye bhi pta hain wo ladki apko pasand karti hain isliye jab aap 6 baje balcony me aate hain wo bhi aa jati hain."

Vikash, Priya ki ye baat sun ke khush to hua magar turan wo ye bhi samajh gaya ki Priya ko pta hain ki wo balcony me kyo aata hain aur ye samajhate wo Priya se nazarein churane lagta hain. Vikash aese nazarein churate dekh Priya samajh jati hain ki bhai ko sharm aa rhi hain tab wo bol padti hain.

Priya: "Kya bhai? Aap mujhse sharma rhe ho main to us din samaajh gayi thi apke dil me kuch ho gaya jis din maine pahli baar apko Nainu ko ghurate dekha tha. Isliye to maine Nainu se dosti taki apne bhai ke dil ke dard ka ilaj kar saku magar wo jyada bolti nhi hain isliye jitna pta lag saka hain wo main apko bta diya. Aag dono taraf lagi hain milna chaho to mulkat kra doo."

Vikash:"Nhi Priya aesi koi baat nhi hain, Wo mujhe achchi lagati hain magar ye pyar hain ya attraction mujhe nhi pta. Aur jab tak clear na ho jaye main abhi usase kuch kahna galat hoga."

Priya: "Kya bhaiya apke aur usake dono ke ankho me dikhta hain aap log ek dusare se pyar karte ho."

Vikash: "Thik hain tu kahati hain to mil leta hoon, teri baat shi hui to Wohi teri bhabhi banegi."

Priya: "Kya bhaiya abhi milane me sharm aa rhi thi ab baat bhabhi banane tak pahuch gayi. Thik hain main kal usase baat karke batati hoon."

Vikash Priya ki baat sunkar apne aap me kho gaya. Wo soch soch ke muskura rha tha ki jaldi usaki mulkat usake pyar hone wali wo aur Nainu  aamne samne hoge. Inhi khyalo me rat bit gayi.

Agali din sham ko Priya pahuch gayi wohi park me jha wo pichale kuch dino se Nainu se mil rhi thi. Nainu se milane ke piche uski planning bhi thi pahle din jis tarah Vikash Naninu ko dekh rha tha Priya samajh gayi bhai ko apni life ki pahli ladki pasand aa gayi hain. kyoki Vikash kisi ladki taraf dekhta bhi nhi tha isliye jab wo Nainu dekh rha tha tabhi Priya ne than liya ki jaldi wo Nainu aur bhai ko amane samane la degi taki wo ek dusare ke karib aa jaye.

Nainu jaise park me pahuchi usaki nazar Priya pe padi, Use nhi pta tha wo Vikash ki bahan wo kal pareshani kahin wo Vikash ki girlfriend to nhi. Uska dil dhak se kar gaya tha jab usane kal Priya ko Vikash ke balcony me dekha tha wo dar se rat bhai so nhi payi thi kyoki jindagi me pahli bar ko ladka psand aaya tha wo usake new friend ka boyfriend hain isliye usaka dil rat se bechain tha wo jald jald hakikat jan lena chahati thi.

Isliye jaisi usaki Nainu ki nazarien Priya pe padi aur jate hi use pooch padi.

Nainu:"Priya tu us ghar me kya kar rhi thi, Us ladke se tera kya rishta hain?"

Priya: "Kyo kya hua? aur tu mujhe dekh kyo chali gayi? Kahine ye wo ladka to nhi hain jisake liye tu roj park se jaldi ghar chali jati hain. Tu isi ladke pyar karti hain kya?"

Nainu: "Ha Priya ye wohi ladka hain jisase main pyar karti hoon. Ye ladka mere man mandir me bas gaya hain mere rom rom sirf usi ko pukarati hain. Lekin tune bataya nhi tera use ladke kya rishta hain?"

Priya: "Kya Nainu Bhabhi aap bhi rishta ridhta lga rakha."

Nainu ne Priya ki baato pe dhyan nhi aur jhalla ke boli "Ye bhabhi wabhi chhod ye bta wo tera lagta kya?" Tabhi Nainu ko dhyan aaya ki Priya ne kya bola hain "Tu usaki bahan hain?"

Priya: "Ha Nainu bhabhimain usaki bahan."

Naninu: "Bina hamara rishta final hui tu mujhe bhabhi kah rhi"

Priya: "Ab bhi nhi samjhi aap bhaiya bhi aap se pyar karte hain warna main apko bhabhi nhi bulati. Usaki yski kya lga rakhi bhai ka naam Vikash hain."

Nainu Priya ki bat sun ke sharma gayi aur boli "Sach Priya wo bhi mujhse puar karte hain. main bta nhi sakti tumne mujhe kitani badi khushi di hain."

Priya:"Kya baat ab uski se unhe pe aa gayi aap."

Isi tarah dono apse bat karte pura samay bitaya tabhi Nainu ki nazar ghadi pe padi to wo boli"Priya main chalti hoon unke balcony me aane ka time ho gaya."

Priya: "Ha bhabhi jayiye ab to Premi mil gaya hain saheli koun poochega."

Priya ki baat sun kar Nainu hasti hui chali gayi.

Comments

Popular posts from this blog

दोस्ती या प्यार 11

Fir Tum Yaad Aaye

Dosti Ya Pyar Part 2