Dosti Ya Pyar Post 6

Jab Suman ke muh se Nainu ka nam suna tha tab Subash is soche me dube pade the unko aur Sanjay dono ko koi koi na galatfahmi hui hain. Wo turant milane jane chahate the Sanjay se magar tabhi unke dimag me Sanajy kahin baat yaad aa gayi aur wo gusse lal ho gaye Magar ka Vikash dhyan aate hi wo shant ho gaye aur Apne bete ki khusi ke liye unhone apne man me kuch tay kar liya.

Udhar Nainu ko hosh aaya to wo kuch kahane ki halat me na thi aur use Sanjay ka gussa yaad aa rha tha ki usane kaise Vikash ko dhakka diya tha. Nainu ko Vikash ka khoon yaad aa gaya aur fir rone lagi.

Vikash pichale 24 ghante se behosh pda tha ab Subash, Suman, Priya aur Raghav ki halat kharab ho rhi thi. Raghav Vikash ke bachapan ka dost hain dono dost jyada bhai lagate hain Apne bhai ki ye halat Raghav dekhi na ja rhi thhi wo utha aur hospital ke mandir me chala gaya:

Raghav: "Bhagwaan maine kabhi nhi maana teri satta ko magar aaj chahata hoon tu apni satta sabit kar mere samane. Agar tera Vajud hain to dikha apni shakti aur thi kar de mere dost. Mera dost agar thik ho gaya duniya mujhe se bda tujhe manane wal koi na hoga."

ye kah kar Raghav rone lga tabhi Priya bhagate huye aayi boli "Raghav bhaiya, bhai ko hosh aa gaya hain aur Nainu ko bula rhe."

Nainu naam sunkar choka tha Raghav magar usne naam pe jyada dhyan nhi aur bhagwaan ko koti koti dhanyvaad karke Chal diya Vikash se milane.

Vikash ne hosh me aate Nainu ka naam liya tha aur apni Maa se poochane lga ki "Maa Nainu kaisi hain, wo to thik to hain na."

Suman ko kuch nhi samajh me aa rha tha Vikash kya baat kar rha, Suman ki halat samajhte Subash Bol pada "Vikash Nainu thik hain usake papa use lekar gaye the. Abhi tum aram karo Jyada sochna ya bolna tumhare liye thik nhi hain ham bad me baat karege."

Subhas ki baat sun Raghav ne Subahs ko bahar bulaya aur pooch pda "Uncle ye Nainu koun aur Vikash ki chot se uska kya lena dena hain."

Subash ne Raghav ko jitna Dekha tha sab bta diya Raghav ne tay kiya wo subah jakar Nainu ghar se pta karega ki kya hua tha. Jo itna kuch ho gaya akhir aesa kya hua tha us raat ko.

Subah tak Vikash ki halat shi ho gayiaur wo aram se baat karne lga tha Tab Subahs ne usase poocha "Beta kya hua tha us rat ko Nainu ki halat vaisi kyo thi? Kya hua tha tum dono ke bich Kahin tumne kuch galat to nhi kiya Nainu ke sath."

Apne Papa ki baat sunkar Vikash rone lga aur Bola "Papa aapko apne Vikash pe bharosha nhi hain kya hain jo aap ye pooch baith aur Nainu ko to main pyra karta hoon main usake sath galat karne ki kaise soch sakta hoon. Magar main apko ye bhi nhi bta sakta ki kya hua tha us kyoki Nainu ne mujhe Kasam de rakhi hain. Magar jab Nainu milegi to wo sabki galatfahmi dur kar degi."

"Nainu ab kab milegi Vikash ye tu bhi nhi janta. Pta nhi milegi bhi ya nhi" Ye Raghav ki Awaj thi

Vikash: "Aesa kyo kah rha hain, tu kya hua meri Nainu."

Raghav: "Teri Nainu ko kuch nhi hua, Sanjay Uncle kahin aur transfer le liya hain aur wo Lucknow chhod ke chale gaye. Main subah sari baat janane ke liye unke ghar gaya tha ghar pe tala lga hua. Main fir main Uncle office pta karne gaya to pta chala ki unhone transfer le liya aur kha liya ye batana se mna kiya hain"

Vikash:"Nainu kahin bhi chali jay Raghav main use khoj luga."

Vikash hospital se discharge ho kar gahr aa chuka tha aur usane bhi Koshish bhi ki thi magar Sanjay ne kha transfer liya pta nhi chala.

Aaj subahs jab ghar aaye to unhone kha "Suman taiyari karo ab Delhi ja rhe hain, Maine wha transfer liye hain kyoki main ab Job ke sath apna bhi kaam shuru karuga. Taki jab Vikash apni Nainu se mile to Sanjay fir use paiso ke karan chhota na samajhe"

Subash ki baat sun kar Suman bhi bahut khus hui aur is trah Rao family Lucknow se Delhi chali aayi. Raghav bhi Inke sath hi Delhi chala aaya. Kyo aay ye kahani me aage pta chalega.

"Kha kho gayi meri chuhiya" Raghav ki bat sunkar Priya Vartmaan me lout aayi

"Kahin nhi bhaiya wo aaj Bato bato Nainu ka jikra aaya to Sari baate Yaad aa gayi."

Raghav Nainu ka naa sunkar Udas ho gaya use Vikash ki Nainu ke liye tadap yaad aa gayi.

Comments

Popular posts from this blog

दोस्ती या प्यार 11

Fir Tum Yaad Aaye

Dosti Ya Pyar Part 2